Khanjar chubha hai seene mein lekin jaanlewa iska vaar nahi…
Khanjar chubha hai seene mein lekin jaanlewa iska vaar nahi
Dard ka toofan chipa hai dil mein aur aankhen ashqbaar nahi
Apni bechaini ki to aadat pad chuki thi ik muddat se hame lekin
Aaj jaane kya baat huii parchaayi ko bhii hamaari qaraar nahi
Suna hai ke dard ka anjaam aksdar bahut khoobsurat hota hai
Kahi kisi ke ashko ki barsaat to har dilnasheen aab shaar nahi
Zakhmon ke beshumaar phool mehakte hai dil ki sarzameen par
Jaane kyu duniya kehti hai ke is chaman mein koi bahaar nahi
Bas ek yehi aakhiri faislaa reh gayaa zindagi bitaane ko ‘deep’
Yeh jism kare kiske hawaale, dil apne par to koi ikhtiyaar nahi