Dec 6, 2012 - Uncategorized    Comments Off on mila karte the ibaadat ke rang kabhi mohabbat mein…

mila karte the ibaadat ke rang kabhi mohabbat mein…

milakarte
mila karte the ibaadat ke rang kabhi mohabbat mein
huya karte the aashiq qurbaan kisi ki chaahat mein

bin sharton se chaahte the apni dilruba ko deewane
chaahe us mehboob ka saath na likha ho qismat mein

tha ik daur jab chaahne ke liye paane ki shart na thi
ab haasil karne ka junoon hai har dastaan-e-hasrat mein

aaj na milegi aapko vo paakizgi shaayad jazbon mein
farak nazar aata nahi aaj ke ishq aur vaihshat mein

dil mein kyu dabaaye hai aise rishte ka khwaab ‘deep’
Jo zehan jaanta hai milta nahi aaj ki haqeeqat mein

Jul 9, 2012 - Uncategorized    Comments Off on Ashq-o-aah ki zubaan dard-e-dil ke kisse sunaati hai…

Ashq-o-aah ki zubaan dard-e-dil ke kisse sunaati hai…

jadh
Ashq-o-aah ki zubaan dard-e-dil ke kisse sunaati hai
Har rishte mein kitna assar baaki suno to bataati hai

Aur dard-e-kastaa ka ha nazron se aisa khaas rishtaa
Dil mein basne waalo mein nain rulaane ki adaa aati hai

Ho rishke ki jadh mein dam to khaamosh ashq nahi behte
Dukhe dil to har ashq ke sang dil doz siski chilaati hai

Huaa rishta kamzor to khaamosh ashqon se samajh jaana
Siskiyaan nahi ubharti, tanhaa nazar paani barsaati hai

Aate hai kayi rishton mein vo mod jab jadh galne lage
Tab girne ko betaab ashq nazar bin bahaaye lautaati hai

Aur khuda na kare kisi rishte mein ho assar yuun kam
Takleef had se guzar insaan ko khokhla pathar banaati hai

Hai jab tak rishtaa tujhse rula le ‘deep’ ko jee bhar magar
Yaad rakh sukhe nazar to rishte ki jadh bhii sukhaati hai

Apr 23, 2012 - Uncategorized    Comments Off on Meri muskaan se kyu duniya apna dil jalaati hai…

Meri muskaan se kyu duniya apna dil jalaati hai…

muskaan
Meri muskaan se kyu duniya apna dil jalaati hai
Yeh hai vo parda jo mera dard-e-dil chupaati hai

Yuun to rehti hai halki si khalish dil mein sada
Hai khaas kuch lamhe ja had se guzar jaati hai

Tanhai ki aadat daali ki takleef na ho phir bhii
Hai ik parchaayi jo saraab ban dil dukhaati hai

Chal rahe hai raah-e-zindagi pe akele gamh nahi
Thak kar ruke to humsafar ki chaah ubhar aati hai

Sahar-e-hassi ka sach shab ke aansuon se pucho
Behte hai to in mein rooh ki sachai lehraati hai

Ab karwat badal badal ke kat-ti hai har raat ‘deep’
Is tadap ke kisse bistar ki har shikan sunaati hai

Mar 18, 2012 - Uncategorized    Comments Off on Halki si aas hai khushi ki magar intezaar nahi …

Halki si aas hai khushi ki magar intezaar nahi …

umeed
Halki si aas hai khushi ki magar intezaar nahi
Aye zindagi hame tujhse bhi raha pyaar nahi

Tadap rahe hai kisi ehsaas ke liye is bedili si
Dard hi mil jaaye jis se kya aisa koi auzaar nahi

Chorhi mehfilen sukoon-e-dil ki talaash mein
Ab tanhaaiyon mein bhi milta koi qaraar nahi

Aye musaafir, sahaara lena iska zara soch kar
Jitni dikhayi de utni mazboot yeh deewar nahi

Kami khud mein, khot auron mein dikhayi de
Shaayad is dil ko hi raha ab kisi pe aitbaar nahi

Kaise le apni zindagi se mutaabik koi faisla ‘deep’
Raha khud pe hi jab hamaara koi ikhtiyaar nahi

Feb 14, 2012 - Uncategorized    Comments Off on Mere har sawaal ka jawaab tum ho…

Mere har sawaal ka jawaab tum ho…

sawaal
Mere har sawaal ka jawaab tum ho
Mere har gamh ka hisaab tum ho

Jiski hasti se ghoomti hai dharti
Meri hastii ka vo aaftaab tum ho

Kaali raat jise odhe roshni ke liye
Vo hasin chadar-e-mahtaab tum ho

Kaafir husn ki rooh mein bhare imaan
Rang-e-ishq ka pakeezah gulaab tum ho

Be-rabt panno se bikhre pade khayaal
Jis jild se bane muqammal kitaab tum ho

Thi ‘deep’ vo patthar jo tumne tarasha
Aaj bani heera to uski aab-o-taab tum ho

Dec 19, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Kyu nikalta hai aaftaab jiski kismat hai roz dhalne ki…

Kyu nikalta hai aaftaab jiski kismat hai roz dhalne ki…

aaftaab
Kyu nikalta hai aaftaab jiski kismat hai roz dhalne ki
Kyu hai yeh hasti, kya wajaah hai saanson ke chalne ki

Kahi aisa to nahi yeh tohfa-e-khuda galti se mil gaya
Kya mayine us zindagi ke jiski aarzoo nahi sanwarne ki

Phike pade the tau umeed thi koi baaki, huye yu berang
Khawaabon mein gunzaaish hi na rahi kabhi nikharne ki

Dil ko patthar kar liya to jaana gar jhatke mein ho dam
Ada patthar mein bhii hai sheeshe ki tarah bikharne ki

Sharmindaa hokar thukraa rahi hai yeh khudasaaz ‘deep’
Honthon ko ab justajoo na rahi bewajaah dam bharne ki

Dec 14, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Pyaasi dharti ko saagar se mila deti hai yeh barsaat…

Pyaasi dharti ko saagar se mila deti hai yeh barsaat…

baarish
Pyaasi dharti ko saagar se mila deti hai yeh barsaat
Viraanon mein bhii phool khila deti hai yeh barsaat

Kuch nigaahon ka naseeb haseen shafaq iske aane ke baad
Kuch nigaahon kko berehmi se rula deti hai yeh barsaat

Kuch phoolon ke pankharon par sajti hai bankar shabnam
Kuch pankharon ko ek naya gila deti hai yeh barsaat

Yuun to dil ko hai qabool tanhaa raahon ka yeh safar
Barasti hai to mazboot hausle hila deti hai yeh barsaat

Humne to nahi kiya koi khilwaad iski hasraton ke saath
Itni berukhi se jaane kis baat ka sila deti hai yeh barsaat

Deti hai jab dar-o-dariche pe dastak iski boonde ‘deep’
Bar-khilaaf-e-har-ummiid aas dila deti hai yeh barsaat

Nov 21, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Aakar dekh kabhi teri yaadein hame kaise hai sataaye…

Aakar dekh kabhi teri yaadein hame kaise hai sataaye…

dhalta
Aake dekh teri yaadein hame kaise hai sataaye
Dil deewana ho kar maang raha hai kaisi duaayen

Tarasti nigaahen ki na ho kismat gar deed tumhaari
Khuda kare in nigaahon ki roshni hi chali jaaye

Muntazir kaan sune teri aawaaz mein izhaar-e-tamanna
Na ho yeh karam to khuda kare aur kuch bhi na sun paaye

Betaab zubaan na pahunche tum taj jo fariyaad inki
Khuda kare phir yeh honth na kabhi koi dastaan sunaaye

Tadapta roop na ho iski kismat gar ik nazar tumhaari
Jal ke koala ho jaaye khudaaya koi aisi aag lagaaye

Tanhaa raatein na kaat sakegi bin tumaare ab ‘deep’
Na mile saath tera to khuda iski hastii hi de mitaaye

Aug 11, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Pathron se thokar khaa kar chattan ban gaye…

Pathron se thokar khaa kar chattan ban gaye…

patthar
Pathron se thokar khaa kar chattan ban gaye
Saahil ke intezaar mein khud toofan ban gaye

Gamh-e-zindagi ki inteha isse badhkar kya hogi
Ashq bhii thak haar aakhir muskaan ban gaye

Taqdeer ki meherbaaniyon ki taarif ab kya kare
Phoolon ka kyaa, kaante bhii beimaan ban gaye

Jafa karta raha zamaana pehan dosti ka naqaab
Wafa humne jo ki raqeeb bhii pashemaan ban gaye

Apne barsaate rahe teer banakar dil ko nishaana
Tohfe qabool karne ki chaah mein kamaan ban gaye

Kabhi jalte the umeed ke diye ban nigaaho mein jo
Aaj mazaar pe sajne laayak vohi armaan ban gaye-

Tadpa itna dhadakne ki hasrat mein dil kya kahe
Iske kone kone mein sulagte shamshaan ban gaye

Shikwe karte karte jab thake honth ik din ‘deep’
Alfaaz-e-sukhanwar majboor ki zubaan ban gaye

Jul 28, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Koshish karke dekh li par dil ne unhe bhulaaya hi nahi…

Koshish karke dekh li par dil ne unhe bhulaaya hi nahi…

koshish
Koshish karke dekh li par dil ne unhe bhulaaya hi nahi
Hai kaisi wafa us shaks se jisne kabhi apnaaya hi nahi

Kehne ko to auron ki chaahat mein bhii koi kami na thi
Par vo armaan seene mein phir kisi ne jagaaya hi nahi

Yuun nahi ke uthi nahi koi ulfat bhari nazar unke baad
Milaayi to aks apna gair nigaaho mein lehraaya hi nahi

Shaayad banaaya tha khuda ne hame us nazar ke liye
Kisi aur ke dekhne se chehre pe vo nikhaar aaya hi nahi

Kayi hasratein liye dekhta hai zamaana apni aur ‘deep’
Dil chaahe jise khuda ne use hamaara banaaya hi nahi

Pages:«12345»