Jan 31, 2015 - Uncategorized    Comments Off on Ek na-chaahi badua aur qabool huyi mannat kabhi…

Ek na-chaahi badua aur qabool huyi mannat kabhi…

mannat

Ek na-chaahi badua aur qabool huyi mannat kabhi
Zindagi thi dozakh ki aag aur thi jannat kabhi

Befikr jhoomte the teri duniya mein hum bhi aye khuda
Na bayaan thi is mein rehne waalon ki fitrat kabhi…

Dil mein basaaya jinko thehre kuch din ke mehmaan
Kabhi dil se humne nikaala khud ho gaye rukhsat kabhi

Shaq hota hai zinda hone par hai sard sa aisa ehsaas
Seene mein jaha sulagti thi jazbaaton ki dehshat kabhi

Saanson ke jaise maangta humko bhi tujhse koi khuda
Shayaad thi is dil ki bhi yeh nadaan-e-hasrat kabhi

Na mila humko kisi dil mein aisa rutbaa ‘deep’
Dosh tha hamaara apna aur thi bewafa kismat kabhi

Comments are closed.