Sep 3, 2013 - Uncategorized    Comments Off on Din mein apne hi saaye ke saath se darr lagta hai…

Din mein apne hi saaye ke saath se darr lagta hai…

dinmein
Din mein apne hi saaye ke saath se darr lagta hai
Dhale din to aanewaali har raat se darr lagta hai

Hai viraan sa ik manzar, cheekhti hai khamoshiyaan
Kaise kahe kuch apni hi har baat se darr lagta hai

Na raas aayi in nigaahon ko kisi khwaab ki taabiir
Chalak na jaaye kahi dekh barsaat se darr lagta hai

Kaise kare kisi se umeed-e-wafa ya shikwaa-e-jafaa
Jab apne hi dil ko apne har jazbaat se darr lagta hai

Kehne ko to apni saanson par bhi hamara haq nahi
Zindagi ki bakshi hui har khairaat se darr lagta hai

Na-umeedi ki aandhi se bujh jaaye ‘deep’ to achcha
Ab to umeed bar aane ke khayalaat se darr lagta hai

Comments are closed.