Deep ki Kahaani…
Meri pehchaan…
SanwaruN tau tinke tinke se aashiyaan bana doon
BigduN to ussi aashiyaan ko khaak mein mila doon
Tu meri nahi, teri zaroorat hoon mai
Saari kaayinat ki jan-ni haan aurat hoon mai
Jo waqt beet gaya, uska nazariya…
Apni kismat pe kaha kisi ka zor chalta hai
Uski marzi ke bina ik patta bhi na hilta hai
Hai tumhe gumaan tum aandhi mein diya jalaate ho
Hai ‘deep’ khud vo diya jo aandhiyon mein jalta hai
Jo waqt aane waala hai, us se umeed…
PhooloN ka kyaa hai, jab chaaheN rang badal le?
KaantoN mein tau murjhaane ki bhii adaa nahiiN
Meri kismat mein gar likhnaa tau kaante hi likhnaa
Aye khuda, sunaa hai inki fitrat mein dagaa nahiiN