Browsing "Uncategorized"
Mar 17, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Tere pyaar ne saiyya hame gamh vo diye…

Tere pyaar ne saiyya hame gamh vo diye…

Tere pyaar ne saiyya hame gamh vo diye
Kabhi kabhi muskuraaye, kabhi hum ro diye

Teri yaad jab aayee hum kya batlaaye
Kya haal huaa dil ka kaise tohe samjhaye
Teri yaadon ko dil ke jharokhe mein liye
Kabhi kabhi muskuraaye, kabhi hum ro diye

Tera chehra samajh ke humne haath jo badaaya
Jab sapna yeh toota haath khaali hi paaya
Toote sapno ko sooni akhiyon mein liye
Kabhi kabhi muskuraaye, kabhi hum ro diye

Mar 13, 2011 - Uncategorized    Comments Off on

Gamh nahi jo ishq hamaara aaj bebas aur lachaar hai
Manzil milegi ik din gar do dilon mein sacha pyaar hai

Meherbaan ho to zindagi bana de, ruthe to aag laga de
Badi bereham hai jo kismat naam ki do-dhari talwaar hai

Kaanton mein guzri zindagi jiski phoolo ki umeed paa kahe
Khushi muqammal nahi lekin is mein kal se to nikhaar hai

Ban-na hi hai to apni hasratein daba ke kisiki taaqat bano
Zamaane mein kamzori ban-ne waale dilbar beshumaar hai

Unke waqt, unki duniya, unpar bhii shaayad nahi phir bhii
Hum khush hai is mein unke dil pe to hamaara ikhtiyaar hai

Mar 11, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Naya desh, naye tazurbe, aur ik naya ehsaas…

Naya desh, naye tazurbe, aur ik naya ehsaas…

Naya desh, naye tazurbe, aur ik naya ehsaas
Aisa lage koi sang hai phir bhii milne ki pyaas

Kehne ko hamaari hai, unki khushboo se mehke
Hamaare hontho se nikalti huii betaab har saans

Jab mile to hamaari nazron mein bas ke dekh le
Nazaare chupa liye aankho mein jo hai aas paas

Hairaan hai ke unke khayaal se hi dil khush hai
Socha thaa is aalam mein nadaan rahega udaas

Shaayad khushi de rahi hai dilkash vaadiyon mein
Unke saath yeh lamhe kabhi dohraane ki aas

Kisi ke sang tanhai thi, tanhai mein koi sang hai
Is kadar zindagi ke modh pehle aaye na raas

Dil mein dard-e-intezaar liye muskura rahe hai
Apni kismat par hone laga hame phir se vishwaas

Mar 10, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Jung jeetne ke liye zaroori ladna nahi hota…

Jung jeetne ke liye zaroori ladna nahi hota…

Jung jeetne ke liye zaroori ladna nahi hota
Pyaar ka matlab sirf haasil karna nahi hota

Ibaadat mein khuda ke saamne ho ya dilbar ke
Sar ka yuun jhukne ka matlab darna nahi hota

Intehaa-e-mohabbat bhii taaqat na dikhaaye
Jab talak kathin raahon se saamna nahi hota

Nazdeeki se nahi badhti, doori se nahi ghat-ti
Mohabbat ke liye zaroori roz milna nahi hota

Aks-e-gamh-e-yaar mein mehke tanhaiyon mein
Har phool ki kismat baag mein khilna nahi hota

Haar jeet ke faisle dao lagne ke baad hote hai
Aitbaar se behtar kal ka koi aaina nahi hota

Mar 9, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Be-sharat pyaar mein jo hai kisi shay mein vo kashish nahi hoti

Be-sharat pyaar mein jo hai kisi shay mein vo kashish nahi hoti

Be-sharat pyaar mein jo hai kisi shay mein vo kashish nahi hoti
Ik jazbaat bhare dil se badh kar kisi ladki ki khwaaish nahi hoti

Uski khoobiyon mein khushi mile, khaamiyon mein ada dikhe
Ishq ke haatho husn ki is se behtar koi bhii aaraaish nahi hoti

Soch is kadar mile, dil-o-zehan ke khayaal beyaan na karne pade
Ishq mein aarzoo poori karne ke liye zaroori farmaayish nahi hoti

Maana zaroori hai bharosa is rishte ko nibhaane ke liye lekin
Jaha dil mile ho waha shaq ki zara si bhii gunjaaish nahi hoti

Maana zaroori hai dilbar har raah, har modh par saath nibhaaye
Lekin paak rishton ke liye zaroori yeh aazmaayish nahi hoti

Maana zaroori hai dil ki baat zamaane ke saamne kabool karna
Lekin sache pyaar ke liye zaroori sar-e-aam numaaish nahi hoti

Feb 16, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Log samajhte hai hame sabse zyada nasha sharaab deti hai…

Log samajhte hai hame sabse zyada nasha sharaab deti hai…

Log samajhte hai hame sabse zyada nasha sharaab deti hai
Par yeh bas jazbaato ko chalakne ke liye hijaab deti hai

Khushi mein koi piye to nachta hai gaata hai saroor mein
Khushi ka nasha hai jisko yeh rang laa-jawaab deti hai

Gamh mein koi piye to tadapta hai rota hai dastoor mein
Gamh ka nasha hai jisko behne yeh khaana-kharaab deti hai

Bebasi mein koi piye to raasta dikhaayi deta hai door mein
Bebasi ka nasha hai jisko nikhaar yeh ek nayi aab deti hai

Fikar mein koi piye to sawaali ho jaata hai iske noor mein
Pareshaani ka nasha hai jis mein sawaalo ka jawaab deti hai

Haalat-e-nashe ki wajah to laakho dhoond lete hai rind
Hai to faqat irtiqaa-e-zindagi jo nasha be-hisaab deti hai

Jan 14, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Humne jazbaat nibhaaye, vo usool nibha gaye…

Humne jazbaat nibhaaye, vo usool nibha gaye…

Humne jazbaat nibhaaye, vo usool nibha gaye
Ittefaqan ek masoom ko duniyadaari sikha gaye

Tha unke liye hi, tinka tinka jod aashiyaa banaaya
Naadaani mein apni usse bhii khaak mein mila gaye

Kami un mein thi, daaman hamaare mein rahi salaamat
Makkari se zamaane ki nigaah mein humko gira gaye

Kaante unhe na chube, haath rakh diye pairo tale
Wohi pairo mein hamaare kaanch ke tukde chubha gaye

Sitam unhone kiye, khaamosh rahi zubaan hamaari
Vohi aakar tohmaten hazaar sar-e-aam laga gaye

Subaah aaine mein dekha, chehra ajnabi sa paaya
Kisi ki chaah mein khud ko aakhir kyu bhula gaye

Unki hasti mit jaaye, kiye ka saza is qadar mile
Honth hamare bhii aaj maang yeh duaa gaye

Jan 13, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Aansuo ko na mile in nigaahon mein panaah

Aansuo ko na mile in nigaahon mein panaah

Aansuo ko na mile in nigaahon mein panaah
Aarzoo unki aankhein muskuraati rahe sada

Gamh ke bina khushiyon ka koi wajood nahi
Aarzoo unki yeh sachai bhii hum de juthla

Jaante huye gamhoN ka sailaab hai seene mein
Aarzoo unki dard rakhe qabr-e-dil mein dafna

Saadiq jazbaatoN ko kehte hai tauheen-e-yaar
Aarzoo unki naqaab-e-chal se kare unse wafa

Unke dil se sahe nahi jaate yeh ashq hamaare
Aarzoo unki apne dil par rakh de patthar zara

Kisi tar to dena hai ‘deep’ ehsaan-e-dosti ka sila
Aarzoo unki mein kyu na kar le aaj khud se daga

Jan 9, 2011 - Uncategorized    Comments Off on mai ban nahi sakdi heer teri, tu ban nahi sakda ranjha…

mai ban nahi sakdi heer teri, tu ban nahi sakda ranjha…

mai ban nahi sakdi heer teri, tu ban nahi sakda ranjha
jindri ta kar naa paaye, chal dukh hi kar laiye sanjha
mai ban nahi sakdi heer teri, tu ban nahi sakda ranjha

taqdeer de apne kisse, keda sang likheya kede hisse
teri jithe likhi tu nibhaayi, ik gal meri channa man ja
mai ban nahi sakdi heer teri, tu ban nahi sakda ranjha

tere bin mai rava adoori, ki dassa ki majboori
kamzor bada hai dil mera, kathor zara tu hi ban ja
mai ban nahi sakdi heer teri, tu ban nahi sakda ranjha

sada milna samajh bahaana, mai haan ik raahat-khaana
thakaan mitaa lai apni, pher apne raste lang ja
mai ban nahi sakdi heer teri, tu ban nahi sakda ranjha

Dec 23, 2010 - Uncategorized    Comments Off on Khushi ke jhoothe singaar se gamh sajaate kab tak…

Khushi ke jhoothe singaar se gamh sajaate kab tak…

Khushi ke jhoothe singaar se gamh sajaate kab tak
Ek-tarfa sa yeh rishtaa aakhir nibhaate kab tak

Khud se bahaane bana-na mushkil ho gaya to
Duniya ke liye aakhir bahaane banaate kab tak

Pyaar mein mazaak bankar reh gaye har mod par
Tamashaheen ko yeh tamaasha dikhlaate kab tak

Kabhi uthe hamaari taraf hasrat bhari ik nazar
Is umeed mein pyaasa roop khilaate kab tak

Har khwaaish, har aarzoo, har jazbaat daba ke
Ek bejaan murat ki tarha jeevan bitaate kab tak

Jo hamaara kehla kar bhii kabhi hamaara na huya
Us anjaan musaafir ki jageer kehlaate kab tak

Humsafar hi jab mehfiloN mein nigehbaan na bana
Gairon ki nazron se khud ko bachaate kab tak

Unhe duniya ki nazron mein uthaaye rakhne ke liye
Apne aap ko hi apni nazron se giraate kab tak

Ek kamzor insaan ki pardaposhii ki chaah mein
Apne daaman pe ham tohmateN lagaate kab tak

Janaaza kabhi na kabhi tau uthna hi tha ‘deep’
Ek mare huye rishte ka bhoj uthaate kab tak

Pages:«12345»