An Amazing Opportunity in Orange County…
June 8, 2014….will not forget the opportunity to open for Orange County’s Hasya Kavi Sammelan
June 8, 2014….will not forget the opportunity to open for Orange County’s Hasya Kavi Sammelan
Pehli saaNs ne aapki bhar diya suroor fizaaoN mein
Meri zindagi badal gayi jo liya aapko baahoN mein
Ek naye junoon se daudti hai vo afsaana-e-hastii
Kal tak besabab thehri thi jo mayuus khalaoN mein
Hote ho aap rubaruu to saaNs lete lagtaa hai jaise
Khushbu-e-jannat phaili hai duur tak hawaoN mein
Hai kuch jaadu in masoom nazroN ke ishaare mein
Mere ashq sukh gaye girne se pehle nigaahoN mein
Kabhi pyaar kabhi shararat kabhi gussa huzoor ka
Suna hai aise hi tewar hote hai shahenshaoN mein
Is adaa se lete ho mera chehraa narm haathoN mein
Khabar nahi aap ho ya mai hoon aapki panaahoN mein
Hai daaman mera haazir kaante sametne ko khudaa
Mere hisse ke bhii phool bichche aapki raahoN mein
Be-taasir alfaazon se waade karta raha yeh zamaana
Na tha vo assar jo hai aapki pakeezah sadaoN mein
Har sajdaa qabool ho jaha naam aapka hai shaamil
Khuda itna to assar rakhe meri dast-e-duaaon mein
Badalte waqt ke saath badlenge kayi sanam ‘deep’
Na aaye kabhi tabdeeli aapki meri wafaaoN mein
Meri humraaz meri qalam se haath ka yu bhar jaana
Ishaara hai tanha khaayaloN ka dil cheer kar jaana
Jeene ko zindagi nikle the kabhi is safar par hum
Na laga aashiyaan apna jo chaaha laut ke ghar jaana
Dhadak raha hai kaisi ajeeb si raftaar mein nadaan
Udaasi hai beqaraari hai ya phir dil ka darr jaana
Kabhi yeh bhi shaq huaa dil hai ya ho gaya patthar
Itna aasaan kyu hai iska har sadme se guzar jaana
Faasla to na badla seene se nazar tak ka phir bhi
Aasaan na raha ab ashqon ka aankhon se utar jaana
Ghabraane lagi hai ‘deep’ dekh jazbaaton ki fitrat
Ik pal mein ubharna aur doosre pal bikhar jaana
Masoom sa bachpan ka vo mizaaz to ho
Anjaam se be-parwaah koi aaghaaz to ho
Sannaton se ghabraane laga hai yeh dil
Is khamoshi mein kahi koi aawaaz to ho
Gairon ki hhum bhi na kiya karte parwaah
Kam-se-kam apno ko humpe naaz to ho
Jazbe tadap rahe hai be-shumaar dil mein
Baantne waala koi dilkash humraaz to ho
Alfaazon se hai ik atoot rishta ‘deep’ ka
In mein rooh bharne waala koi saaz to ho
Jab aasmaan mein udti hoon kya tere zyada paas hoon mai
Nazar-e-khuda kya dekhe hai rooh se kitni udaas hoon mai
Umeedein puri hoti nahi na-umeedi fitrat mein nahi
Jo na bhuje na puri ho ik aisi adhoori aas hoon mai
Sab ke jazbon ko pal bhar mein samjhe hai ye dil mera
Jo na samajh paaya koi bhi aisa tanha ehsaas hoon mai
Pakeezah rishton mein har achai buraai qabool hoti hai
Jaane kisko hai shikwe kisko jaisi hoon raas hoon mai
Saans ruke to khabar mile saanson mein basnewalo ki ‘deep’
Kis dil ka hoon veham aur kis dil ka vishwaas hoon mai
Ek na-chaahi badua aur qabool huyi mannat kabhi
Zindagi thi dozakh ki aag aur thi jannat kabhi
Befikr jhoomte the teri duniya mein hum bhi aye khuda
Na bayaan thi is mein rehne waalon ki fitrat kabhi…
Dil mein basaaya jinko thehre kuch din ke mehmaan
Kabhi dil se humne nikaala khud ho gaye rukhsat kabhi
Shaq hota hai zinda hone par hai sard sa aisa ehsaas
Seene mein jaha sulagti thi jazbaaton ki dehshat kabhi
Saanson ke jaise maangta humko bhi tujhse koi khuda
Shayaad thi is dil ki bhi yeh nadaan-e-hasrat kabhi
Na mila humko kisi dil mein aisa rutbaa ‘deep’
Dosh tha hamaara apna aur thi bewafa kismat kabhi
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai
Kisko dikhta hai teri kaamyaabiyon ka manzar
Tere ilm ko nahi tanhaai ko dekhe hai har nazar
Aur uthe sawaal tanha kyu hai iski kya majboori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai
Na dil se dil mile, na zindagi mein ishq ke raag ho
Ek laash sa ho rishta jis mein na jazbon ki aag ho
Mard thaile sa sa bazoo pe rakh milti izzat puri hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai
Is ikisvi sadi mein log karte hai masaawat ki baatein
Rahe akeli ek ladki to kare usiki bagaawat ki baatein
Mehla aur pursh mein zameen aasmaan ki doori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai
Ek doosre ka to saath dete hai is liye mard aage hai
Yaha to naari naari ka saath dene se piche bhaage hai
Mehla ki bhi thi aksar vo nazar jo tujhko ghoori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Karna nahi aata jinhe vo pyaar maangte hai
Shaqi mizaaz hai aur aitbaar maangte hai
Har saans meein bhari hai jisne yeh beqaraari
Humse hi apne dil ka qaraar maangte hai
Nazron ko deke ashqon ka yeh haseen tohfa
Lab pe hassi chehre pe ab nikhaar maangte hai
Kya kehnee apne qaatil ki masoomiyat ke
Hame mittaane ka humse auzaar maangte hai
Jis rishte ko banaaya humne hai apni duniya
Us rishte mein vo halki si daraar maangte hai
Jis par jale yeh ‘deep’ no ho raakh ke nishaan
Humse vo aisi posheeda deewar maangte hai
Kismat kisi ke kehne pe na to khuda badalta hai
Na dil ki dhadkano pe apna koi zor chalta ha
Thi hamaari fitrat har kisi se dil khol kar milna
Pata na tha kaun haath mein khanjar rakh gale milta hai
Thi kuch kami nazar ke parekhne ke hunar mein
Ik nazar dekh kaun kehta suraj chadhta ya dhalta hai
Ranjh bhii kya kare hum par jo beeti aaj uska
Suna hai duniya mein insaan gir kar hi sambhalta hai
Hai tumhe gumaan ke tum aandhi mein diya jalaate ho
Hai ‘deep’ khud vo diya jo aandhiyon mein jalta hai
Din mein apne hi saaye ke saath se darr lagta hai
Dhale din to aanewaali har raat se darr lagta hai
Hai viraan sa ik manzar, cheekhti hai khamoshiyaan
Kaise kahe kuch apni hi har baat se darr lagta hai
Na raas aayi in nigaahon ko kisi khwaab ki taabiir
Chalak na jaaye kahi dekh barsaat se darr lagta hai
Kaise kare kisi se umeed-e-wafa ya shikwaa-e-jafaa
Jab apne hi dil ko apne har jazbaat se darr lagta hai
Kehne ko to apni saanson par bhi hamara haq nahi
Zindagi ki bakshi hui har khairaat se darr lagta hai
Na-umeedi ki aandhi se bujh jaaye ‘deep’ to achcha
Ab to umeed bar aane ke khayalaat se darr lagta hai