Aug 9, 2014 - Uncategorized    Comments Off on Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai…

Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai…

aazaadi

Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai

Kisko dikhta hai teri kaamyaabiyon ka manzar
Tere ilm ko nahi tanhaai ko dekhe hai har nazar
Aur uthe sawaal tanha kyu hai iski kya majboori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai

Na dil se dil mile, na zindagi mein ishq ke raag ho
Ek laash sa ho rishta jis mein na jazbon ki aag ho
Mard thaile sa sa bazoo pe rakh milti izzat puri hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai

Is ikisvi sadi mein log karte hai masaawat ki baatein
Rahe akeli ek ladki to kare usiki bagaawat ki baatein
Mehla aur pursh mein zameen aasmaan ki doori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai

Ek doosre ka to saath dete hai is liye mard aage hai
Yaha to naari naari ka saath dene se piche bhaage hai
Mehla ki bhi thi aksar vo nazar jo tujhko ghoori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai
Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai

Aye naari, teri aazaadi ki yeh koshish adhoori hai
Kehti hai duniya sang ek mard ka hona zaroori hai

Comments are closed.