Pehli saaNs ne aapki bhar diya suroor fizaaoN mein…
Pehli saaNs ne aapki bhar diya suroor fizaaoN mein
Meri zindagi badal gayi jo liya aapko baahoN mein
Ek naye junoon se daudti hai vo afsaana-e-hastii
Kal tak besabab thehri thi jo mayuus khalaoN mein
Hote ho aap rubaruu to saaNs lete lagtaa hai jaise
Khushbu-e-jannat phaili hai duur tak hawaoN mein
Hai kuch jaadu in masoom nazroN ke ishaare mein
Mere ashq sukh gaye girne se pehle nigaahoN mein
Kabhi pyaar kabhi shararat kabhi gussa huzoor ka
Suna hai aise hi tewar hote hai shahenshaoN mein
Is adaa se lete ho mera chehraa narm haathoN mein
Khabar nahi aap ho ya mai hoon aapki panaahoN mein
Hai daaman mera haazir kaante sametne ko khudaa
Mere hisse ke bhii phool bichche aapki raahoN mein
Be-taasir alfaazon se waade karta raha yeh zamaana
Na tha vo assar jo hai aapki pakeezah sadaoN mein
Har sajdaa qabool ho jaha naam aapka hai shaamil
Khuda itna to assar rakhe meri dast-e-duaaon mein
Badalte waqt ke saath badlenge kayi sanam ‘deep’
Na aaye kabhi tabdeeli aapki meri wafaaoN mein