Khushi ke jhoothe singaar se gamh sajaate kab tak…
Khushi ke jhoothe singaar se gamh sajaate kab tak
Ek-tarfa sa yeh rishtaa aakhir nibhaate kab tak
Khud se bahaane bana-na mushkil ho gaya to
Duniya ke liye aakhir bahaane banaate kab tak
Pyaar mein mazaak bankar reh gaye har mod par
Tamashaheen ko yeh tamaasha dikhlaate kab tak
Kabhi uthe hamaari taraf hasrat bhari ik nazar
Is umeed mein pyaasa roop khilaate kab tak
Har khwaaish, har aarzoo, har jazbaat daba ke
Ek bejaan murat ki tarha jeevan bitaate kab tak
Jo hamaara kehla kar bhii kabhi hamaara na huya
Us anjaan musaafir ki jageer kehlaate kab tak
Humsafar hi jab mehfiloN mein nigehbaan na bana
Gairon ki nazron se khud ko bachaate kab tak
Unhe duniya ki nazron mein uthaaye rakhne ke liye
Apne aap ko hi apni nazron se giraate kab tak
Ek kamzor insaan ki pardaposhii ki chaah mein
Apne daaman pe ham tohmateN lagaate kab tak
Janaaza kabhi na kabhi tau uthna hi tha ‘deep’
Ek mare huye rishte ka bhoj uthaate kab tak