Mar 11, 2011 - Uncategorized Comments Off on Naya desh, naye tazurbe, aur ik naya ehsaas…
Naya desh, naye tazurbe, aur ik naya ehsaas…
Naya desh, naye tazurbe, aur ik naya ehsaas
Aisa lage koi sang hai phir bhii milne ki pyaas
Kehne ko hamaari hai, unki khushboo se mehke
Hamaare hontho se nikalti huii betaab har saans
Jab mile to hamaari nazron mein bas ke dekh le
Nazaare chupa liye aankho mein jo hai aas paas
Hairaan hai ke unke khayaal se hi dil khush hai
Socha thaa is aalam mein nadaan rahega udaas
Shaayad khushi de rahi hai dilkash vaadiyon mein
Unke saath yeh lamhe kabhi dohraane ki aas
Kisi ke sang tanhai thi, tanhai mein koi sang hai
Is kadar zindagi ke modh pehle aaye na raas
Dil mein dard-e-intezaar liye muskura rahe hai
Apni kismat par hone laga hame phir se vishwaas