Suna hai yeh zindagi aabaad karti hai…
Suna hai yeh zindagi aabaad karti hai
Yeh bhii suna hai ke zindagi barbaat karti hai
Har raah pe manzil ke muntazir ke nishaan
Har raah magar muflis ko na-muraad karti hai
Muskurahato ke liye koi jagah nahi is mein
Dard-e-gamh ki gehraayi hi dil shaad karti hai
Jisko wafa ke mayine ki kuch khabar nahi
Naadaan-e-mohabbat ussi pe eitmaad karti hai
Ik nazar aake bheega daaman dekh le vo
Jaan jaayenge meri aankh unko yaad karti hai
Roz ik umeed banti hai aayegi unko hamaari yaad
Roz yeh umeed hamaare dil se khilwaad karti hai
Maut ko bhii aa gaya taras hamaare haal pe
Dekhiye kis adaa se vo zindagi se ittihaad karti hai
Hontho tak aati hai aakhiri saans aur laut jaati hai
Zindagi jab jab chand lamho ki fariyaad karti hai
Dar par qazaa, aankho ko zindagi ka intezaar ‘deep’
Dekhna hai kaunsi balaa humko aazaad karti hai