Band aankho mein chipe ashkoN se faansla bana rahe…
Band aankho mein chipe ashkoN se faansla bana rahe
Chehre pe jhoothi hassi, dil ki gehraaiyo mein gila rahe
Kisi modh par kisi bewafa ko hamaari zaroorat na pade
Unki galiyo se guzarta sada yeh bebas qaafila rahe
Unke daaman mein khushiyon ke sitaare jhilmilaaye
Jholi hamaari mein khilta unka sab dukh-o-ibtilaa rahe
Hum apna chaman shaadaab zakhmon se saja lenge
Hamaare hisse ka phool unki muskaan ban khila rahe
Unke khayaal par bhii palkein sajde mein jhuk jaaye
Chaahat mein zara ibaadat ka rang bhii ghula rahe
Karishmaat-e-tasavur mein gawa dene do zindagaani
Bachi saanso mein nasha ban unka saroor mila rahe
Hamaare baad unke kadmo se rehguzar aabaad rahe
Aur kuch na maange gar mohabbat ka itna sila rahe
Maut aaye to khaak-e-badan unke dwaar pe nisaar dena
Is haseen andaaz mein unse mulakaat ka silsila rahe