Jun 30, 2011 - Uncategorized    Comments Off on Kahi thehra na de kaafir nazrein tujh ko doshi aye khuda…

Kahi thehra na de kaafir nazrein tujh ko doshi aye khuda…

nazar
Kahi thehra na de kaafir nazrein tujh ko doshi aye khuda
PalkoN ne kar di ashkbaar nazron ki pardaposhi aye khuda

Tere haatho ka daawa kar ruksaar khud hi sehlaa rahe hai
Honth sile huye hai kabhi samajh meri khamoshi aye khuda

Zindagi gar gamh ke khazaanoN se sajaayi hai to kya huaa
KhwaaboN mein to hai khushiyoN ki yeh madhoshi aye khuda

Azm-e-safar nahi par tarasta badan liye chale ja rahe hai
Kabhi naseeb hogi kisi mehboob ki ham-aaghoshi aye khuda

Kaun kehta hai suroor sirf hazz-e-wasl mein mayassar ho
Intezaar ki ada mein bhi milan ki hai mai-noshi aye khuda

Comments are closed.