Nasha chaayaa in fizaayoN mein yeh aaj jaane kaisa hai…
Nasha chaayaa in fizaayoN mein yeh aaj jaane kaisa hai
Gungunaye kaano mein pawan yeh raaz jaane kaisa hai
Roop kal bhii khila khila tha magar magroor na thaa
Unse milkar aaya husn ko khud pe naaz jaane kaisa hai
Saans kal bhii behki behki thi magar madhosh na thii
Guftagoo-e-yaar mein yeh andaaz jaane kaisa hai
Waqt kal bhii khoya khoya tha magar muntazir na tha
Thame waqt ko chalne par yeh aitraaz jaane kaisa hai
Zakhm kal bhii hara hara tha magar kaatilana na thaa
Dawa jiski ho jaanlewa yeh charasaaz jaane kaisa hai
Badan kal bhii mit sa raha thaa rooh tadapti na thi
Maut bhii anjaam nahi yeh aaghaaz jaane kaisa hai
Raaz jo kal tak chipe chipe the saamne aate na the
Unse kara gaya pehchaan yeh humraaz jaane kaisa hai
Pyaas bhujaane ki hasrat mein ‘deep’ jali jaa rahi hai
Parwaane ko duniyadaari ka yeh lihaaz jaane kaisa hai