Pathron se thokar khaa kar chattan ban gaye…
Pathron se thokar khaa kar chattan ban gaye
Saahil ke intezaar mein khud toofan ban gaye
Gamh-e-zindagi ki inteha isse badhkar kya hogi
Ashq bhii thak haar aakhir muskaan ban gaye
Taqdeer ki meherbaaniyon ki taarif ab kya kare
Phoolon ka kyaa, kaante bhii beimaan ban gaye
Jafa karta raha zamaana pehan dosti ka naqaab
Wafa humne jo ki raqeeb bhii pashemaan ban gaye
Apne barsaate rahe teer banakar dil ko nishaana
Tohfe qabool karne ki chaah mein kamaan ban gaye
Kabhi jalte the umeed ke diye ban nigaaho mein jo
Aaj mazaar pe sajne laayak vohi armaan ban gaye-
Tadpa itna dhadakne ki hasrat mein dil kya kahe
Iske kone kone mein sulagte shamshaan ban gaye
Shikwe karte karte jab thake honth ik din ‘deep’
Alfaaz-e-sukhanwar majboor ki zubaan ban gaye