Nov 21, 2011 - Uncategorized Comments Off on Aakar dekh kabhi teri yaadein hame kaise hai sataaye…
Aakar dekh kabhi teri yaadein hame kaise hai sataaye…
Aake dekh teri yaadein hame kaise hai sataaye
Dil deewana ho kar maang raha hai kaisi duaayen
Tarasti nigaahen ki na ho kismat gar deed tumhaari
Khuda kare in nigaahon ki roshni hi chali jaaye
Muntazir kaan sune teri aawaaz mein izhaar-e-tamanna
Na ho yeh karam to khuda kare aur kuch bhi na sun paaye
Betaab zubaan na pahunche tum taj jo fariyaad inki
Khuda kare phir yeh honth na kabhi koi dastaan sunaaye
Tadapta roop na ho iski kismat gar ik nazar tumhaari
Jal ke koala ho jaaye khudaaya koi aisi aag lagaaye
Tanhaa raatein na kaat sakegi bin tumaare ab ‘deep’
Na mile saath tera to khuda iski hastii hi de mitaaye