Apr 23, 2012 - Uncategorized Comments Off on Meri muskaan se kyu duniya apna dil jalaati hai…
Meri muskaan se kyu duniya apna dil jalaati hai…
Meri muskaan se kyu duniya apna dil jalaati hai
Yeh hai vo parda jo mera dard-e-dil chupaati hai
Yuun to rehti hai halki si khalish dil mein sada
Hai khaas kuch lamhe ja had se guzar jaati hai
Tanhai ki aadat daali ki takleef na ho phir bhii
Hai ik parchaayi jo saraab ban dil dukhaati hai
Chal rahe hai raah-e-zindagi pe akele gamh nahi
Thak kar ruke to humsafar ki chaah ubhar aati hai
Sahar-e-hassi ka sach shab ke aansuon se pucho
Behte hai to in mein rooh ki sachai lehraati hai
Ab karwat badal badal ke kat-ti hai har raat ‘deep’
Is tadap ke kisse bistar ki har shikan sunaati hai