Dec 19, 2011 - Uncategorized Comments Off on Kyu nikalta hai aaftaab jiski kismat hai roz dhalne ki…
Kyu nikalta hai aaftaab jiski kismat hai roz dhalne ki…
Kyu nikalta hai aaftaab jiski kismat hai roz dhalne ki
Kyu hai yeh hasti, kya wajaah hai saanson ke chalne ki
Kahi aisa to nahi yeh tohfa-e-khuda galti se mil gaya
Kya mayine us zindagi ke jiski aarzoo nahi sanwarne ki
Phike pade the tau umeed thi koi baaki, huye yu berang
Khawaabon mein gunzaaish hi na rahi kabhi nikharne ki
Dil ko patthar kar liya to jaana gar jhatke mein ho dam
Ada patthar mein bhii hai sheeshe ki tarah bikharne ki
Sharmindaa hokar thukraa rahi hai yeh khudasaaz ‘deep’
Honthon ko ab justajoo na rahi bewajaah dam bharne ki