Feb 21, 2015 - Uncategorized Comments Off on Jab aasmaan mein udti hoon kya tere zyada paas hoon mai
Jab aasmaan mein udti hoon kya tere zyada paas hoon mai
Jab aasmaan mein udti hoon kya tere zyada paas hoon mai
Nazar-e-khuda kya dekhe hai rooh se kitni udaas hoon mai
Umeedein puri hoti nahi na-umeedi fitrat mein nahi
Jo na bhuje na puri ho ik aisi adhoori aas hoon mai
Sab ke jazbon ko pal bhar mein samjhe hai ye dil mera
Jo na samajh paaya koi bhi aisa tanha ehsaas hoon mai
Pakeezah rishton mein har achai buraai qabool hoti hai
Jaane kisko hai shikwe kisko jaisi hoon raas hoon mai
Saans ruke to khabar mile saanson mein basnewalo ki ‘deep’
Kis dil ka hoon veham aur kis dil ka vishwaas hoon mai